Update

6/recent/ticker-posts

main kisi aur ka hun itna bata kar roya - urdu ghazal

Main kisi aur ka hun itna bata kar Roya,

Wo mujhe mehndi lagay hath dikha kar Roya,

Mujhe anjam e mohabat nahi malom hargiz

Ye kaha aur mujhe senay se laga kar Roya,

Jo mujhe zabt ki talqen kiya karta tha,

Wo zamanay ko mera haal suna kar Roya,

Aansu ban kar nikal na jaun kahin is Dar se,

Apne ashkoN ko wo ankhon mein chupa kar Roya,

Wasl ka akhri lamha jo muyasar tha hamen,

Usi lamhay mein wo sadiyon ko sama kar Roya..

Post a Comment

0 Comments