Dasht tha, dhoop thi, wo yaad b aaya hua tha
Mera saya b paseeny me nihaya hua tha
Chup lagi aisi k pocha bhi to bola na gaya
Ibteda me to buhut shor machaya hua tha
Khawab, matti ka diya, naam, maqam our kalam
Us k qadmon me rakha jo b kamaya hua tha
Meri nakam muhabbat thi wo, lakin us ny
Mujh ko MARNy say bahr haal bachaya hua tha
0 Comments
Give your feed Back .Thanks