Update

6/recent/ticker-posts

Ek musaafir ke safar jaisi hai sab ki duniya

Ab khushi hai na koi dard rulaane wala,
hum ne apna liya har rang zamane wala.
Ek be-chehra si ummeed hai chehra chehra,
jis taraf dekhiye aane ko hai aane wala.
Uss ko rukhsat toh kiya tha mujhe maloom na tha,
sara ghar le gaya ghar chhod ke jaane wala.
Door ke chaand ko dhoondo na kisi aanchal mein,
ye ujaala nahin aangan mein samaane wala.
Ek musaafir ke safar jaisi hai sab ki duniya, 
koi jaldi mein koi der se jaane wala. !

Post a Comment

0 Comments