Update

6/recent/ticker-posts

Honge juda hum is tarah imkan toh na

Honge juda hum is tarah imkaan toh na tha,
ye dil kabhi bhi is tarah weeraan toh na tha
Jaise hua hai ab ke woh halaat se mere
pahle kabhi woh is tarah anjan toh na tha
Woh shehar se gaya hai toh raunaq bhi le gaya
ye shehar is tarah kabhi sunsan toh na tha
Ek Pyar ki jaageler ka maalik tha main kabhi
pahle se yun hi be’sar-o saamaan toh na tha
Mohsin’ hum ne ishq mein paaya naffa bahut
is kaarobar mein koi nuqsan toh na tha