Update

6/recent/ticker-posts

Zara soch kar samhj kar mujhe sogwaar karna

Ghum-e-hijr se na dil ko kabhi hum-kinaar karna

main phir aaunga palat kar mera intezaar karna

Mujhe dar hai mere aansoo teri aankh se na jhalken

zara soch kar samajh kar mujhe sogwaar karna

Usey dhoond sab se pehle jo mila nahin hai tujh ko

ye sitare aasmaan ke kabhi phir shumar karna

Mere shehar ki fiza mein koi zehar bhar gaya hai

tere husn par hai laazim usey khushgawar karna

Main uthaunga na ehsaan tere baad na-khuda ka

mujhe tu ne hi duboya mujhe tu hi paar karna

Mere badnaseb saathi teri zindagi hi kya hai

na kisi se dil lagana na kisi se pyar karna

Kabhi iqtidar bakhshe jo khuda qatel tujh ko

jo rawish hai qatilon ki woh na ikhtiyaar karna

Post a Comment

0 Comments