Update

6/recent/ticker-posts

Main bhool jaon tumhen ab yehi munasib hai

Main bhool jaon tumhen

ab yehi munasib hai

magar bhulana bhi chahoon

to kis tarah bhoolo

ke tum to phir bhi haqeeqat ho
koi khawb nahin

yahan to dil ka yeh alam hai kya kahoon
kambakht

bhula na paya woh silsila
jo tha hi nahin

woh ik khayal

jo awaz tak geya hi nahin
woh ek baat

jo main keh nahin saka tum se
woh ek rabt

jo hum main kabhi raha hi nahin

mujhe hai yaad woh sab
jo kabhi hua hi nahin

Post a Comment

0 Comments