Kitne aish se rehte hon ge kitne itraate hon ge
Jaane kese log woh hon ge jo us ko bhaate hon ge
Shaam huye khush-bash yahan ke mere paas aa jate hain
Mere bujhne ka nazaara karne aa jate hon ge
Woh jo na aanay wala hai na us se mujh ko matlab tha
Aanay walon se kya matlab aatay hain aatay hon ge
Us ki yaad ki baad-e-sabaa main aur to kya hota hoga
Yunhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate hon ge
Yaaro kuch to zikr karo us ki qayamat banhon ka
Woh jo simat-te hon ge un main woh to mar jaate hon ge
Mere saans ukharrte hi sab bain karen ge royen ge
Yaani mere baad bhi yaani saans liye jaate hon ge..
0 Comments
Give your feed Back .Thanks