Meri tashnagi ka khayal kar Main udaas hoon mujhe dekh ja
Meri bebasi pe malaal kar Main udaas hoon mujhe dekh ja
Yeh jo hijr hijr hai sham-e-gham Meri ankh bhi to hai dekh num
Meri hasraton ko visaal kar Main udaas hoon mujhe dekh ja
Main tere khayal ke dasht Main sabhi raston se guzar geya
Meri saans ab to bahaal kar Main udaas hoon mujhe dekh ja
Mera zard chehra hai kis liye Yeh makaan ujrra hai kis liye
Mera haal pooch, sawal kar Main udaas hoon mujhe dekh ja
Ae naye dinon ki udaas rut Tu mere wajood main aa ke ruk
Meri shidaton ko bahaal kar Main udaas hoon mujhe dekh ja
0 Comments
Give your feed Back .Thanks