Hosla chor gaya tha sath nibhane wala
Jane kis simat gaya aj wo jane wala
Aj phr ankh me aay hazaron anso
Aj phr yad wo aya hy bhulane wala
Ab kahen ja k mere zakhm bhare hain
Dekho Ab kahen lout k a jaye na jane wala
Ay, Khuda
Us ka har khuwab salamt rakhna
Ghum na dekhe wo mere khuwab jalane wala
Ab kahen raah mein mil jaye to itna kehna
SHAJAR
Mar gaya kab ka tere naz uthane wala
0 Comments
Give your feed Back .Thanks